Dard Bhari Shayari

Woh Begaano Mein Apne, Hum Apno Mein Anjaan Lagte Hain, Hamare Khoon Ki Keemat Nahi, Unke Ashkon Ke Bhi Daam Lagte Hain, Kya Bheekh Mange, Upar Waale Se Ab Jeevan Ki, Ab Toh Yeh Lamhe, Chand Dino Ke Mehmaan Lagte Hain….

Wo Aansu Jo Palko Ki Zeenat Nahi Bante Wo Chupke Se Dil Mein Utar Jaya Karte Hain Kuch Log Apne Dukho Ki Numaish Nahi Karte Bas Khamoshi Se Hi Bikhar Jaya Karte Hain…

Aankho Ke Saza Tab Tak Jab Tak Deedar Na Ho, Dil Ke Saza Tab Tak Jab Tak Pyar Na Ho, Yeh Zindgi Bhi Ek Saza Hai, Jab Tak Aap Jaisa Yaar Na Ho…

Kabhi Jajbat To Kabhi Yadon Ka Jikar Kiya Karte Hai , Kabhi Aansu To Kabhi Dard Ko Piya Karte Hai , Hain Hum Aap Ke Tabhi To Aap Ko, Miss Kiya Karte Hain…

Truth Of Life in Hindi - Truth no 1 – Maa ke siwa koyi wafadaar nahi Truth no 2 – Gareeb ka koyi dost nahi Truth no 3 – Log achi seerat ko nahi achi surat ko tarjeeh dete hain Truth no 4 – Izzat sirf paise ki hain insaan ki nahi Truth no 5 – Insaan jis shakhs k liye dil se mukhlis ho wahi shakhs dukh dard deta hain

Wo Mujh Tak Aane Ki Raah Chahta Hai Lekin Meri Mohabbaton Ka Gawah Chahta Hai Khud Aate Jaate Mousamo Ki Tarah Hai Aur Mujh Se Mohabbat Ki Intiha Chahta Hai

Kaise Keh Dein Ki Unse Milne Ki Chahat Nahin, Bekaraar Dil Ko Raahat Nahin, Bhula Dete Unhein Bhi Magar Kya Karein Kisiko Bhulane Ki Aadat Nahi…

Char Dino Ki Chahat Mein Umar Bhar Ka Intezar Hai, Mohabbat Ek Aisi Majburi Hai Jisme Sab Lachar Hain, Juda Nahi Kar Sakti Ab Maut Bhi Mujhe Teri Yaadon Se, Aur Ek Zindagi Hai Jo Har Pal Tere Liye Beqarar Hai…

Zakham ki baat nahi hain, Na jane dard kyu hota hain, Dhokhe ki baat nahi hain, Na jane vishwas kyu hota hai Jante hai bewafai hi milegi, Na jane fir bhi pyar kyu hota h

Kore Kagaj Ki Tarah, Meri Zindagi Veeran Hai, Gham Ki Duniya Mein Yaaro, Gham Hi Meri Pahchan Hai, Khud Gham Sada Hoke Bhi, Karta Hai, Khush Logon Ko, Sach Toh Yeh Hai Sanam, Ki Dard Hi Jaan Hai….

Teri Yaadon Ne Bakhse The, Jo Aansu Meri Aankhon Ko, Mohabbat Se Unhein, Hai Maine Palkon Pe Saja Rakha, Jara Socho, Mera Kaatil, Tumhe Har Sakhas Kahta Hai, Hai Apna Jurm Peshani Pe, Kyu Toone Laga Rakha, Mere Liye Jeena Yeh Saja Ho Gaya, Yaar Mera Mujhse Juda Ho Gaya….

Zindagi jiyo toh jarurat ke mutabik Kabhi bhi khawaisho ke mutabik nahi kyuki jarurat toh fakeero ki bhi puri ho jati h Aur khawaisho ameero ki bhi aduri rah jati h

Unka Vaada Hai Ki Wo Laut K Aayenge, Isi Ummid Par Hum Jiye Jayenge, Ye Intejar Bhi Unki Hi Tarah Pyara Hai, Kar Rhe The, Kar Rhe Hain Aur Kiye Jayenge…

Mujhe aasmano mein udne ka shok hain Parindo ke beech khelne ka shok hain, Agar mjhe Jaanna ho to jara dur se hi jaanna Mai parwana hu mjhe aag me jalne ka shok h

Os Ki Boonde Hain Ya Aankho Mein Nami Hai Na Upar Aasmaan Hai Na Niche Zameen Hai Jaane Ye Kaisa Mod Hai Zindagi Ka Apki Zarurat Hai, Aur Apki Hi Kami Hai…