Inspirational Shayari

Kuch musalma mujh musalma ko Kaafir kahte hai Aur kaafir mujhe Tanz se musalma Kahte hai Mujhe to ab dono hi labz gaali lagne lage hai

Ek zindagi ko kandhe par uthakar Ek zindagi ki raah par chal raha hoon Badalta waqt mujh ko badalta hai Aur log kahte hai main badal raha hoon

Har insaan ko apni ladaai Khud ladni padti hai Tu bhi apni ladaai ladne ko Tayyar ho jaa

Daulat bhi zaroori hai Par pariwaar se badh kar Kuch bhi cheez nahi hai

Zara allaah ki shaan to dekho Ke allaah ke aagey panch waqt sajda karne wale banda Ek na namaazi na farmaan bande ke aagey chand tukdon ke liye jholi phailate hai

Abhi abhi to jawaani ki dahleez par pahla kadam rakha hai abhi se rota hai kya Aage ki soch dekh aage hota hai kya

Ab yahaan log hame saath jeene nahi denge Chalo koi aur duniya basa lete hai

Yahaan wahaan iske uske chakkar mein kya fasa hai Wohi tera asli malik hai jo tere mann mein basa hai

Zindagi kabhi aasaan to kabhi mushkil hai Uski kadar kar Jo tere shukh dukh mein shamil hai

Tere jaane ke baad pata chala kitni khaas hai tu Mere dil ka ahsaas hai tu Har ghadi har lamha har pal mere aas paas hai tu MERI MAA

Roshni se andhere mein aa gaye Insaaniyat chod kar dharm mazhab ke ghere mein aa gaye

Nazar utha kar bhi nahi dekhta hai woh aaj kal irfaa Na jaane woh kis baat par mujh se sharma ta hai

Waqt ki yahi khasiyat hai irfaa Woh bina bataye hi badalta hai

Aaj wohi shakhs dur bhagta hai humse irfaa Jo kabhi humse milne ko taras ta tha

Jo iss duniya ko nahi samajh pata hai woh rota hai irfa Aur jo samajh jata hai woh bahot zyada rota hai