Bhamwar Me Hai Safeena Raat Ka Patwaar Chhooti Hai Kinare Dard Ki Basti Ke Sahookaar Baithe Hai Tumhare Khwab Me Aane Ki Hashrat Aaj Bhi Hai Par Suna Hai Dwar Par Palkon Ke Pahredaar Baithe Hai
Kahin Par Jag Liye Tum Bin, Kahin Par So Liye Tum Bin Bhari Mehfil Me Bhi Aksar, Akele Ho Liye Tum Bin Ye Pichhle Chand Varshon Ki Kamayi Sath Hai Apne Kabhi To Hans Liye Tum Bin, Kabhi To Ro Liye Tum Bin
Sada To Dhoop Ke Hatho Me Parcham Nahi Hota, Khushi Ke Ghar Me Bhi Bolo Kabhi Kya Gam Nahi Hota? Fakat Ek Aadmi Ke Waste Jag Chhodne Walo, Fakat Uss Aadmi Se Yeh Zamana Kam Nahi Hota.
Koi Manzil Nahi Jachti, Safar Achcha Nahi Lagta… Agar Ghar Laut Bhi Aaun To Ghar Achcha Nahi Lagta… Karun Kuch Bhi Mai Ab Duniya Ko Sab Achcha Hi Lagta Hai, Mujhe Kuch Bhi Tumhare Bin Magar Achcha Nahi Lagta.
Gireban Chaak Karna Kya Hai Seena Bahut Mushqil Hai Har Ik Pal Muskura Kar Ashq Peena Aur Mushqil Hai Humari Bad Naseebi Ne Humein Itna Sikhaya Hai Kise Ke Ishq Mein Marne Se Jeena Aur Mushqil Hai
Badalne Ko To In Ankhon Ke Manzar Nahin Badle Tumhari Yaad Ke Mausam Humare Gum Nahin Badle Tum Agle Janam Mein Humse Milogi Tab To Manogi Zamane Aur Sadi Ki Is Badal Mein Ham Nahin Badle
Main Jise Mudat Mein Kahta Tha Woh Pal Ki Baat Thi, Aapko Bhi Yaad Hoga Aaj Kal Ki Baat Thi, Roj Mela Jodte The Woh Samasya Ke Liye, Aur Unki Jeb Mein Hi Band Hal Ki Baat Thi,
Nazar Mein Shokhiyan Lab Par Mohabbat Ka Fasaana Hai Meri Ummeed Ki Zad Mein Abhi Saara Zamaana Hai Kayi Jeete Hain Dil Ke Desh Par Maloom Hai Mujhko Sikandar Hoon Mujhe Ik Roz Khaali Haath Jaana Hai
Utar ke dekh meri chahat ki gehrai mein, Sochna mere bare mein raat ki tanhai mein, Agar ho jaye meri chahat ka ehsas tumhein, To milega mera aks tumhein apni hi parchhai mein…
Usne kaha Pyar ek dard hai.. Humne kaha dard qabul hai.. Usne kaha dard ke saath ji na paoge.. Humne kaha teri Pyar ke saath marna qabul hai.
Barbaad ho gaye the hum duniya ne yun humko sataya tha, Har ek mod pe hum girte the kisi ne bhi na humko uthaya tha, Tab tune hi sanam ek umeed ka diya jalaya tha, Apne har ek gam ko chupakar mujhe jeena sikhaya tha.
Unke hontho pe mera naam jab aya hoga.. Khudko ruswayi se phir kaise bachaya hoga.. Sunke fasana auro se merii barbadi ka.. Kya unko apna sitam na yaad aya hoga.
हाल अपने दिल का, मैं तुम्हें सुना नहीं पाती हूँ.. जो सोचती रहती हूँ हरपल, होंठो तक ला नहीं पाती हूँ.. बेशक बहुत मोहब्बत है, तुम्हारे लिए मेरे इस दिल में.. पर पता नहीं क्यों तुमको, फिर भी मैं बता नहीं पाती हूँ..
छोड़ तो सकता हूँ, मगर.. छोड़ नहीं पाता उसे, वो शख्स मेरी बिगड़ी हुई.. आदत की तरह है..
Jo Pyar Hamesha Sath Rahe Wo Sacha Hai Ji, Jo Musibaton Mein Kaam Aaye Wo Acha Hai Ji, Kabhi Kabhi Humse Bhi Ho Jati Hai Nadaniya, Kyonki Dil To Baccha Hai Ji.
Neeva is offline
Sanju is offline
Hindwi is offline
Mandeep is offline
Ashraf is offline
aman is offline
Pawan is offline
Nitesh is offline
Rahul is offline
Kundan is offline
Badal is offline
Sumit is offline
Dalip is offline
Himansu is offline
anshika is offline
Please Login or Sign Up to write your book.