Kuchh waqt to de mujhe sambhalne ka ae-khuda, Uski mohabbat me khud ko bhi bhul gaya tha mai.
Nakam rahi sari koshishein meri unhe manane ki, Shayad sikayato ki fehrishtein badi lambi thi.
Kyu khayal rahe unhe hamare gam-e-jindagi ka, Jo shakhs ata me bhi hame gam-e-jahan de gaya.
Badi ajnabee se lagti hai ye shamein bhi, Tumhare sath hone ka daur kuchh aur tha.
Kitni aafreen hai ye tumhari aankhein, Tafseel karti hai masoomiyat tumhari.
Aadtein kya jindagi ki tasveer badal dete, Bas itna kaha hota ke tum mere layak nahi ho. -Alok Kumar-
Hum itne bhi mukhtalif nahi hai ek dusre se, Bas tera fareb hona mujhse juda karta hai.
Hasrat to thi tumhe apni bahon me lene ki, Par aansuon se aage kabhi bat badhi hi nahi. - Alok Kumar-
Shayad tum aur khuda kuchh ek jaise the. Meri mohabbat ki bandagi kisi ne nahi suni. -Alok Kumar-
Har Ek Bat Mehfil Me Kehni Jaroor Nahi Hoti, Kabhi Kabhi Aankhein Bhi Dard Bayan Kar Jati Hai. -Alok Kumar-
Ye fursato ke aalam bhi bade pechidein hai, Hum to teri yadon ke masroofiyat me hi thik the. -Alok Kumar-
Hunar tha hi nahi mujhme jhuthi wafa ka, Mere rakib aise karnamo ke ustad nikle. -Alok Kumar-
Pehle aate the uske khat bhi hamare name se, Aaj arso bad mile bhi to Janne se inkar kar diya. -Alok Kumar-
Vo dekhtein hai suni rat me aasman ko, Kash mai bhi koi tuta hua sitara hota.
arun is online
gulab is online
rehan is online
Shivansh is online
Mahipal is online
Sonu is offline
Musab is offline
Laden is offline
bharat is offline
Dileep is offline
Munna is offline
Rahul is offline
geeta is offline
kamal is offline
vishav is offline
Please Login or Sign Up to write your book.