Iss husn ka didar hum bar bar kerta hai… her pal hum apka iktiyar kerte hai… waqt mila to humse atebar ker lena… verna apka intezaar to hum har bar kerte hai… ………………………………………………………………………………………………………………………………. Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga.. Khudko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga.. Sounke Fasana Auro Se Merii Barbadi Ka.. Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga? ………………………………………………………………………………………………………………………………. Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai, Naam lab par hai aur jaan baki hai . Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai, Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai … ……………………………………………………………………………………………………………………………….. Pal Pal Uska Saath Nibhaate Hum Aik Ishare Peh Duniya Chhor Jate Hum Samundar K Beech Me Pohanch Kr Fareb Kiya Usne Woh Kehta To Kinare Peh Hi Doob Jate Hum… ……………………………………………………………………………………………………………………………….. Yeh Dard Ke Tukre Hain, Ashaar Nahi Saaghar Hum Kaanch Ke Dhaage Mai Zakhmon Ko Pirotey Hain.. ` Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho Meri Ragon Mai Zehr Judaai Ka Utarta Dekho Kis Kis Adaa Se Tujhe Maanga Hai Khuda Se Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mai Sisakta Dekho.. ` Bekhabar Tujhe Kiya Khabar, Teri Aankhon Mai Kesa Jamal Hai Tujhe Dekh Le Jo Bas Ik Nazar, Us Ki Aankhon Mai Phir Yeh Sawal Hai.. ` Mujh Se Bichar Kar, Mujh Ko Rula Kar Udaas Tha Meri Tarah Wo Khud Ko Jala Kar Udaas Tha Aese Ajeeb Dard Ke Pehre The Chaar Soo Ab Ke Wo Mere Shehr Mai Aa Kar Udaas Tha… ` Dil Ke Liye Dard Bhi Roz Naya Chahiye Zindagi To Hi Bata Kaise Jiya Chahiye Maano Meri Kazmi, Tum Ho Bhaley Aadmi Phir Wohi Aawargi, Kuch To Haya Chahiye… ……………………………………………………………………………………………………………………………….. Bari mudat sey chaha hey tumhain Bari duaoon sey paya hai tumhain… Tumhain bhulaaney ka socho b kasey Kismat ki lakiron se churaya hai tumhain…!! ` Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log Tu Zehr Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log… ` Raabton, Rishton Mai Uljhan Thi Bohot Is Nizam-E-Shehr Mai Rehne Ki Himmat Hi Na Ki Lafz Yeh Logon Mai Raij Tha “Bohot” Is Liye Is Shehr Mai Hum Ne Mohabbat Hi Na Ki… ` Har Taraf Aap Ki Yaad Par Laga Ke Pehra Jee Kara Kar Ke Betha Tha Ke Mat Yad Aye Nagahan dil kisi baat par aesa dukha, Mai Bohot Roya, Mujhe Aap Bohot Yad Aye… ` Duniya To Hai Kaanton Ka Bichona Pyaare Tum Hum Se Kabhi Hona Na Judaa Pyaare Aao Mil Kar Dukh Ke Lamhe Kaaten Ik Jashn Hai Sath Sath Rona Pyaare… ` Rota Hun To Ahbaab Bura Maante Hain Hansta Hun To Mujrim Mujhe Gardante Hain Har Haal Mai Aetiraaz Karne Waale Nadaan Mere Halaat Kahan Jaante Hain… ` Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat Wo Shakhs Ke Jis Ko Mera Hona Bhi Nahi Hai Yeh Ishq-O-Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajab Hai Paana Bhi Nahi Hai, Usse Khona Bhi Nahi Hai.. ` Dekhte Hain Aaj Hum Us Raah Ki Weeraaniyan Yaaron Ke Sang Kaati Jahan Hum Ne Zindaganiyan Guzar Gaya Wo Daur, Bichar Gaye Sab Dost Sath Reh Gaen To Un Lamhon Ki Kahaniyaan.. ` Kisi Ki Dhun, Kisi Ke Gumaan Mai Rehte Hain Hum Ek Khuwab Ki Surat Jahan Mai Rehte Hain Ghamon Ki Dhoop Se Darte Nahi Hain Wo Amjad Kisi Nigaah Ke Jo Saiybaan Mai Rehte Hain.. ` Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai Ahsaas Ki Lo Aur Bhi Barh Jaati Hai Mai Barhta Hun Zindagi Ki Janib Lekin Zanjeer Si Paon Mai Chanak Jaati Hai. ……………………………………………………………………………………………………………………………….. Aksar jab hum aapko yaad karte hai apne rab se yahi fariyaad karte hai umar hamari bhi lag jaye aapko kyoki hum aap ko khud se zyada pyar karte hai… …………………………………………………………
कभी कभी मेरे दिल मैं ख्याल आता हैं कि ज़िंदगी तेरी जुल्फों कि नर्म छांव मैं गुजरने पाती तो शादाब हो भी सकती थी। यह रंज-ओ-ग़म कि सियाही जो दिल पे छाई हैं तेरी नज़र कि शुआओं मैं खो भी सकती थी। मगर यह हो न सका और अब ये आलम हैं कि तू नहीं, तेरा ग़म तेरी जुस्तजू भी नहीं। गुज़र रही हैं कुछ इस तरह ज़िंदगी जैसे, इससे किसी के सहारे कि आरझु भी नहीं. न कोई राह, न मंजिल, न रौशनी का सुराग भटक रहीं है अंधेरों मैं ज़िंदगी मेरी. इन्ही अंधेरों मैं रह जाऊँगा कभी खो कर मैं जानता हूँ मेरी हम-नफस, मगर यूंही कभी कभी मेरे दिल मैं ख्याल आता है. ***
arun is online
gulab is online
rehan is online
Shivansh is online
Mahipal is online
Sonu is offline
Musab is offline
Laden is offline
bharat is offline
Dileep is offline
Munna is offline
Rahul is offline
geeta is offline
kamal is offline
vishav is offline
Please Login or Sign Up to write your book.